Tuesday, February 26, 2008

AA BHI JAOO

Tanha to ho gaya hoon tere door hone se
Harek lamhe ka main hisaab rakhta hoon

Palatataa rehta hoon panne kitaabon ke
Tere sookhe gulaab takta hoon

Shaam hote hi jalti hai jab shamaa
Bikharta hai ujaala tere chehre ke noor sa

Bujhte hi lau ke hogi tu saamne
Dil mein yahi khyaal rakhta hoon

Lag na jaaye zamaane ki nazar tujhko
Teri tasveer pe bhi main hijaab rakhta hoon

Takiye pe suntaa hoon apne hi dil ki dhadkan
To lagta hai maano
Tum khwabon pe mere de rahi ho dastak
Neend ke darwaze khulte hi
Khushbu si bikhar jaaogi
Teri mehek to taaza rakhne ko
Apne sirhaane tera rumaal rakhta hoon

Aa bhi jaao ke bahut din beete
Mil jaao fir ussi mod par
Issi chahat mein main har shaam
Ussi raah se guzarta hoon

AYE DIL HAME ITNA BATA

aye dil hame itna bata.............


marte hain hum jinke liye


kaise chale unko pata


dil hi agar ek dard ho


toh kya karen dil ki dawa


aye dil hume itna bata.............


jinhe humne needon main khwabo main dekha


wo ankhon ki noor wo din ka ujala


hain betab hum bhi wo ye manate hain


magar wo isaro ko kum janate hain


unhe dhadkano main rakha hai chupake


wo chehra koi aaina bhi na dekhe


koi aur toh kya khuda bhi na dekhe


mangi hai ye dil ne dua


marte hain hum jinke liye


kaise chale unko pata


aye dil hume itna bata.............


ye dil jinki chahat main pagal bana hai


unhe kya khabar hai humme kya hua hai


unhe kya pata hai halat humari


tadpati hai kaise mohabbat humari


ye dil kah raha hai dhadakate-dhadakate


wo aayenge ek din tadape-tadape


hamare hain wo unko pake rahenge


hum kuch bhi nahi hain unke bina


marte hain hum jinke liye


kaise chale unko pata


aye dil hume itna bata.............

AAPKI YAAD

Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahan!!